Bounce Charges & Penalty Charges Hote Kya Hai?
Aaj hum baat karenge Bounce Charges aur Penalty Charges ke baare mein. Sabhi bank account holders ko yeh pata hona chahiye kyunki yeh charges zaraa si laaparwahi ki wajah se lag sakte hai and agar aap ye puri video dekhoge, to aap jaan jaaoge ki in charges se aap kaise bach sakte ho. So, aaiye jaante hai bounce charges and penalty charges ke baare mein.
Bounce Charges kya hai?
Bounce Charges ek aisa charge hai jiska lena dena bank se hai. Apna EMI automatically deduct hone ke liye account mein kuch paise rakhte ho and bank due date par vo amount as EMI deduct kar leta hai. But jab aapke account mein utne paise nahi hote to bank aapse ek fees charge karta hai jise hum bounce charges bolte hai. Vo isiliye ki apke account mein utni amount nahi thi. Also, iska lena dena lender se kuch nahi hota.
dir="ltr">Penalty Charges kya hai?
Penalty Charges tab lagte hai jab aap apni EMIs dene mein late ho jaate ho. Us case mein apka lender aapse fees charge karta hai, jo apko pay karna padta hai in addition to the interest amount. Isiliye EMI time par bharni chahiye taaki aap in charges se bache raho…
Yaad rakhe - ye dono charges aapko dene pad sakte hai zaraa si laaparwahi ki wajah se. Isliye, apne bank account ke balance aur transactions ko carefully monitor kare aur bank ke rules aur regulations ko follow kare taki aap in charges se bach sake.
Thanks for watching. Umeed hai yeh video aapko helpful lagi hogi aur ab aap Bounce Charges aur Penalty Charges ke bare mein acchi tarah se jaan gaye honge. For more such financial videos, make sure you subscribe to my YouTube channel.
0 Comments